be-khayali mein yunhi bas ek irada kar liya apne dil ke shauq ko had se ziyaada kar liya jaante the donon hum us ko nibha sakte nahin us ne wada kar liya main ne bhi wada kar liya ghair se nafrat jo pa li kharch khud par ho gai jitne hum the hum ne khud ko us se aadha kar liya sham ke rangon mein rakh kar saf pani ka gilas aab-e-sada ko harif-e-rang-e-baada kar liya hijraton ka khauf tha ya pur-kashish kohna maqam kya tha jis ko hum ne khud diwar-e-jada kar liya ek aisa shakhs banta ja raha hun main 'munir' jis ne khud par band husn o jam o baada kar liya
This is a great wada shayari for girlfriend. Please share if you liked this!!!