be-mausam ki baaten karne wale hain ranj-o-gham ki baaten karne wale hain zakhm hato tum de do mujh ko rasta ab hum marham ki baaten karne wale hain zamzam ki baaten bhi is mein shamil thin do aalam ki baaten karne wale hain koi adnaon ki baaten karta nahin sab aazam ki baaten karne wale hain baat hui ab khatm samundar walon ki ab shabnam ki baaten karne wale hain