be-samar mausamon mein janmi hun zard patton ka dukh samajhti hun raftagan bhed odh lete hain apne abba ki qabr dhundhti hun mera bachpan bichhad gaya mujh se ek saheli se ruth baithi hun khamushi ki guphaon mein aksar apni aawaz sun ke sahmi hun ghar ki diwar mein hi rahta hai ek sae se darti rahti hun mujh ko barish aziz hai lekin khidkiyan band kar ke roti hun khwab hain ya khayal ki duniya raftagan ke qarib rahti hun wo jo ek bewafa ki khatir the ab unhi aansuon pe hansti hun aap hi apni man rahi hun 'sahar' man hi jaisi dikhai deti hun