bedi ye mere panw mein pahna to rahe ho phir ahd-e-khudi tod ke tum ja to rahe ho palkon ki munderon pe parindon ko udao taslim kiya tum mujhe samjha to rahe ho pachhtawa na ho kal ye qadam soch ke lena jazbaat mein ulfat ki qasam kha to rahe ho samjhaya tha kal kitna magar baz na aae kya hoga abhi mana ki pachhta to rahe ho rahne bhi abhi dijiye ashkon ka takalluf jab jaante ho dil pe sitam dha to rahe ho ab ek nae tarz-e-rifaqat pe amal ho tum bich mein logon ke bhi tanha to rahe ho kal thokaron mein jag ki kahin chhod na dena ek dard-zada shakhs ko apna to rahe ho insan kabhi rizq se bhi sair hua hai taqdir mein tha jitna likha pa to rahe ho is mein bhi koi ramz koi falsafa hoga 'hasrat' ji abhi jhum ke tum ga to rahe ho