bediyan dal de aazad hui jati hai zindagi ishq mein barbaad hui jati hai dil ki basti mein koi aur na aaya malik teri duniya hai jo aabaad hui jati hai ishq ke khel mein farhad hua hai shirin koi shirin hai jo farhad hui jati hai kho chuka hun tujhe par aaj bhi teri khatir hath uth jate hain fariyaad hui jati hai din-ba-din rog ye badhta hi chala jata hai din-ba-din tu meri buniyaad hui jati hai