beta jo honhaar tha zan ke asar mein hai kis ki nazar ka nur tha kis ki nazar mein hai nazren to thak ke aa gain apne madar par aur ek khayal-e-yar ki ab tak safar mein hai parwaz ka khayal use kar dega muntashir barson hue jo gard jami baal-o-par mein hai chalta nahin hai mujh ko pata kab main bik gaya khubi kamal ki ye mere rahbar mein hai sadha fareb jis ki ibaadat mein zam hue us shakhs ka shumar to ahl-e-hunar mein hai