betabiyon mein tang hum aae hain jaan se

betabiyon mein tang hum aae hain jaan se
waqt-e-shakeb khush ki gaya darmiyan se

dagh-e-faraq-o-hasrat-e-wasl aarzu-e-did
kya kya liye gae tere aashiq jahan se

hum hamushon ka zikr tha shab us ki bazm mein
nikla na harf-e-khair kaso ki zaban se

aab-e-khizr se bhi na gai sozish-e-jigar
kya jaaniye ye aag hai kis dudman se

juz ishq jang-e-dahr se mat padh ki khush hain hum
us qisse ki kitab mein us dastan se

aane ka us chaman mein sabab bekali hui
jon barq hum tadap ke gire aashiyan se

ab chhed ye rakhi hai ki aashiq hai tu kahin
al-qissa khush guzarti hai is bad-guman se

kine ki mere tujh se na chahega koi dad
main kah marunga apne har ek mehrban se

daghon se hai chaman jigar 'mir' dahr mein
un ne bhi gul chune bahut us gulistan se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close