bewa man ko khun ke aansu rulate hain charagh chhod kar basta kitaben jab kamate hain charagh sone chandi tanbe pital se banana fan nahin ahl-e-fan hain jo ki mitti se banate hain charagh aaj bhi mere watan ke chhote chhote ganw mein sham hote hi bade budhe lagate hain charagh kashtiyan raste se hat jaen na tufan ke sabab hum andheron mein lab-e-sahil jalate hain charagh dewta bhi aarti ka khub lete hain maza husn wale thaaliyon mein jab sajate hain charagh be-tahasha jazba-e-ulfat mein lag jati hai aag wo hinai dast-e-nazuk se jalate hain charagh tan ke ujle man ke kale log ye karte hain kaam khud nahin rakhte to auron ke bujhate hain charagh waqt-e-rukhsat ashk-e-larzida se palkon pe 'faraaz' subh-dam taron ke jaise jhilmilate hain charagh