bhala kashkol ke aage ye kasa kaun karta hai

bhala kashkol ke aage ye kasa kaun karta hai
ho dil apna to phir duje ki aasha kaun karta hai

yahan hum hain bhare baithe wahan un ko bhi ghussa hai
chalo phir dekhte hain ab tamasha kaun karta hai

tumhaara pyar hai na jo suno ratti barabar hai
ye khud hi dekh lo tole ko masha kaun karta hai

suna hai donon hi ek dusre se pyar karte hain
chalo phir dekhte hain be-tahasha kaun karta hai

ye hum hi the jo sab kuchh bhul kar phir dil laga baithe
bhala socho tamashe par tamasha kaun karta hai

kabhi aankhen kabhi gesu kabhi abru banate ho
'razi' tum jaante ho but tarasha kaun karta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close