bhare hain aankhon mein aansu main ro nahin sakti

bhare hain aankhon mein aansu main ro nahin sakti
ki aansuon se koi zakhm dho nahin sakti

main jite ji nahin chhodungi hath se daman
tujh aisa gauhar-e-nayab kho nahin sakti

qadam qadam pe wo patthar bichha raha hai to kya
main us ki rah mein kante to bo nahin sakti

taqaza kya hai masihai ka samajhti hun
kisi ke dil mein bhi nashtar chubho nahin sakti

kinara dur sahi nakhuda hai mera khuda
koi bhi mauj safina dubo nahin sakti

tu aashna nahin tahzib-e-ishq se shayad
main apna 'ahd-e-wafa tod to nahin sakti

nigah dar pe lagi rahti hai meri 'zohra'
ghar aa na jaen wo jab tak main so nahin sakti


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close