bhed teri jafa ka kholega

bhed teri jafa ka kholega
hum na bolenge zakhm bolega

dil ko manus-e-dard hone do
phir to kanton pe bhi ye so lega

ek muddat se be-charagh hai ghar
dil ka darwaza kaun kholega

tab kis kis nazar ki laoge
dil ka har zakhm aankh kholega

dard minnat-pazir-e-zarf nahin
tu ise kis nazar se tolega

shabnamin subh aankh to khole
ghuncha ghuncha gulab ho lega

aaina aaina hi hota hai
jaisa dekhega waisa bolega

sang dete ho dast-e-'shaariq' mein
apna sar apne khun se dho lega


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close