bhuk se bachche bilakte hain na jaane kitne aur pani mein baha dete hain dane kitne ek tamanna ka hua khun to kya gham ai dost dafn hain sine mein arman na jaane kitne kabhi auron ki kabhi apni himaqat ke tufail hath aate rahe hansne ke bahane kitne zindagi ek haqiqat bhi hai afsana bhi har gali-kuche mein bikhre hain fasane kitne ek gul-e-taza ki takhliq mein ai gulchino jaane qudrat ne lutae hain khazane kitne meri rudad ko sab apna fasana samjhe ek fasane mein hain poshida fasane kitne hausla bakhsha hai jine ka unhi khwabon ne hum ne dekhe hain 'khalish' khwab suhane kitne