bichhda wo goya zist mein aaya kabhi na tha us ne mere mizaj ko samjha kabhi na tha lahje mein us ke turshi bhi aisi kabhi na thi dil is buri tarah mera tuta kabhi na tha go iztirab ki to na thi wajh-e-zahiri dil ko magar qarar kabhi tha kabhi na tha mana ki zindagani mein aae gae hain log koi bhi us gulab-numa sa kabhi na tha aaya bhi mere shahr mile bin bhi ja chuka jaisa hua hun aaj main tanha kabhi na tha ghutne hi us ne tek diye haar man li logo wo ek shakhs jo haara kabhi na tha rah-e-wafa mein dasht bhi the wahshaten bhi thin gar kuchh na tha to zulf ka saya kabhi na tha jhela hai dard hanste hue khelte hue kya shakhs tha jo shikwa sarapa kabhi na tha raaten kati hain din bhi guzare gae 'rashid' deta jo dukh mein sath sahaara kabhi na tha