bila jawaz nahin hai ghurur aankhon mein basa hua hai koi to zarur aankhon mein tasalliyon ka charaghan shafiq honton par mohabbaton ki anokhi sutur aankhon mein wazu-e-did judai mein bhi mayassar hai hain garche dur magar hain huzur aankhon mein ki raat dudhiya chadar mein khwab lipte the tamam din tha raha us ka nur aankhon mein ruke hue kisi sailab ki safarat ko kiya hai ashk ne phir se zuhur aankhon mein jiya hai dasht-e-dil-o-jaan had-e-muayyan mein kiya hai aankh ka dariya ubur aankhon mein khumar-e-dard mein 'tahir-adim' sab masrur hain mastiyan si saron mein surur aankhon mein