bimar ko maraz ki dawa deni chahiye main pina chahta hun pila deni chahiye allah barkaton se nawazega ishq mein hai jitni punji pas laga deni chahiye dil bhi kisi faqir ke hujre se kam nahin duniya yahin pe la ke chhupa deni chahiye main khud bhi karna chahta hun apna samna tujh ko bhi ab naqab utha deni chahiye main phul hun to phul ko gul-dan ho nasib main aag hun to aag bujha deni chahiye main taj hun to taj ko sar par sajaen log main khak hun to khak uda deni chahiye main jabr hun to jabr ki taid band ho main sabr hun to mujh ko dua deni chahiye main khwab hun to khwab se chaunkaiye mujhe main nind hun to nind uda deni chahiye sach baat kaun hai jo sar-e-am kah sake main kah raha hun mujh ko saza deni chahiye
Please share if you liked this!!!