bin hawa ke hathon mein hai lahre jadu wale hain chandan se chikne shanon par machal uthe do kale hain jangal ki ya bazaron ki dhul udi hai swagat ko hum ne ghar ke bahar jab bhi apne panw nikale hain kaisa zamana aaya hai ye ulti rit hai ulti baat phulon ko kante daste hain jo in ke rakhwale hain ghar ke dukhde shahr ke gham aur des bides ki chintaen in mein kuchh aawara kutte hain kuchh hum ne pale hain ek usi ko dekh na pae warna shahr ki sadkon par achchhi achchhi poshaken hain achchhi surat wale hain raat mein dil ko kya sujhi hai us ke ganw ko chalne ki jangal mein chite rahte hain rah mein naddi nale hain donon ka milna mushkil hai donon hain majbur bahut us ke panw mein mehndi lagi hai mere panw mein chhaale hain