bisat-e-danish-o-harf-o-hunar kahan kholen ye sochte hain lab-e-mo'tabar kahan kholen ajab hisar hain sab apne gird khinche hue wajud ki wahi diwar dar kahan kholin padaw dalen kahan raste mein sham hui bhanwar hain samne rakht-e-safar kahan kholen yahan shuur ke nakhun to hum bhi rakhte hain magar ye uqda-e-fikr-o-nazar kahan kholen na is ke sath hamara bhi mol hone lage hain kashmakash mein ki musht-e-guhar kahan kholen hawa hai tez na is ke waraq uda le jae sahifa-e-nafas-e-mukhtasar kahan kholen bachaen aabru jismon ki bhid mein kaise hai kholni girah-e-jaan magar kahan kholen koi 'faza' to mile hum ko qabil-e-parwaz ab in hadon mein bhala baal-o-par kahan kholen