bosida muflisi ki rida thi phaTi rahi

bosida muflisi ki rida thi phati rahi
gard-o-ghubar waqt se har-dam ati rahi

mausam ki garm sard hawaon ka khauf kya
apni hayat ranj-o-khushi mein bati rahi

wo shakhs gir bhi jae to is mein ajib kiya
jis ki nigah rahguzar se hati rahi

rishton ki dor hoti hai nazuk khayal rakh
ek bar kat gai to hamesha kati rahi

hai kaisi sakht-jaan ye chidiya umid ki
jo sar-phiri hawa ke muqabil dati rahi

tote ka wasf hai ki sabaq bhulta nahin
jo baat rat chuka wo hamesha rati rahi

jo kat gai 'nadim' gai apne hath se
dori patang ki jo kati to kati rahi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close