bu-e-gul raqs mein hai baad-e-khizan raqs mein hai ye zamin raqs mein hai sara jahan raqs mein hai ruh sarshaar hai aur chashm-e-takhayyul bedar baad muddat ke wahi shola-e-jaan raqs mein hai jal uthe zehn ke aiwan mein lafzon ke charagh aaj phir garmi-e-andaz-e-bayan raqs mein hai phir kisi yaad ki kashti mein rawan hain lamhat ju-e-dil raqs mein hai wadi-e-jaan raqs mein hai kitna jaan-bakhsh hai ye ishq ki wadi ka safar naghma-zan taifa-e-lazzat-e-jaan raqs mein hai band aankhon mein larazta hai koi manzar-e-nur jaise tabinda sitaron ka jahan raqs mein hai mahzar-e-shauq mein paikar-e-guman se aage zehn hai naghma-sara jazb-e-nihan raqs mein hai khwab to khwab hain pal bhar mein bikhar jate hain sach to ye hai ki bas ek kahish-e-jaan raqs mein hai bich sagar mein to the hausle maujon se buland aur sahil pe ek ehsas-e-ziyan raqs mein hai