bujha bhi ho to ujala meri nazar mein rahe koi charagh to aisa bhi mere ghar mein rahe bana bana ke bigada gaya hamein aksar misal-e-kuza kisi dast-e-kuza-gar mein rahe hisar-e-ishq se bahar nikal sake na kabhi ki hum bichhad ke bhi tujh se tere asar mein rahe rah-e-safar mein sar-e-sham hum thahar to gae magar kuchh aise ki jaise koi safar mein rahe firaq-e-yar hi taqdir ho to kya kije visal-e-yar ka sauda hazar sar mein rahe nigah khub sahi dusron ke aibon par magar khud apna gareban bhi nazar mein rahe na ho khushi ka guman aise gham pe kyun 'khawar' jo gham khushi ki tarah qalb-e-mo'atabar mein rahe