bujhe ho, hath mayusi lagi hai kya dar-e-ulfat pe ab kundi lagi hai kya abhi bhi tujh dar-e-dil par bata jaanan hamare nam ki takhti lagi hai kya samundar baukhalaya phir raha hai kyun kinare phir koi kashti lagi hai kya hamin tum se hamesha milne aaen kyun tumhaare panw mein mehndi lagi hai kya kate hain par to katne do miyan socho iradon par koi qainchi lagi hai kya jahan kal ishq par charcha hua ghanton wahin ab husn ki mandi lagi hai kya hain aankhen surkh lab zakhmi ana ghayal tere kirdar ki boli lagi hai kya teri galiyon se jo guzra use jaanan bhala duniya kabhi achchhi lagi hai kya yaqinan aaj be-parda wo nikle hain wagarna chandni phiki lagi hai kya na duniya hai na uljhan hai sukun hai bas thikane ab meri mitti lagi hai kya kitaben ghar mere suraj si raushan hain tere kamre mein ye batti lagi hai kya zaban se aah kya uf tak nahin nikli to ab ke chot kuchh gahri lagi hai kya mita loge jihaalat ko 'sikandar' tum tumhein bhi ye nai dhunki lagi hai kya
Please share if you liked this!!!