bujhe na shama-e-gham-e-dil to kya sahar hona

bujhe na shama-e-gham-e-dil to kya sahar hona
dalil-e-subh nahin raat ka basar hona

kabhi zamin pe kabhi takht-e-arsh par hona
sikha diya hai kisi ne hamein bashar hona

kabhi idhar se guzarna kabhi udhar hona
hai kuchh na kuchh to hawaon ka mere sar hona

hazar marhala-e-daur se guzarna hai
koi mazaq nahin sham ka sahar hona

khatak raha hai dil-e-baghban mein kanta sa
chaman se pyar mera matmah-e-nazar hona

hansi nahin hai gham-e-zist ka bharam rakhna
khudi ki aag mein jalna hai dida-war hona

giran bahut hi giran ahl-e-dil pe guzri hai
tera rumuz-e-mohabbat se be-khabar hona

fasil-e-shahr pe rakh di hai hum ne sham-e-wafa
fusun-e-shab ka hai dushwar kargar hona

hai nukta-ras to koi nukta-chin ai 'shaariq'
tazad-e-zat bana sahab-e-hunar hona


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close