bulandiyon ke dhundalke mein tha khuda sa laga jo main qarib se guzra to wo shanasa laga na koi jism tha us ka na koi chehra magar jihat jihat se ubharti hui sada sa laga aqab mein chhodta aaya shikastagi ka ghubar ki sang-e-mil bhi mujh ko ek aaina sa laga bahut nasheb-o-faraaz us ke tai kiye main ne wo sar se panw talak ek rasta sa laga yahi kaha tha ki tum sab badalte chehre ho har ek shakhs mujhe phir khafa khafa sa laga sada-e-amad-o-shud bais-e-safar thi 'kamal' nafas nafas mujhe apne lahu ka pyasa laga