bulate kyun ho 'ajiz' ko bulana kya maza de hai ghazal kam-bakht kuchh aisi padhe hai dil hila de hai mohabbat kya bala hai chain lena hi bhula de hai zara bhi aankh jhapke hai to betabi jaga de hai tere hathon ki surkhi khud subut is baat ka de hai ki jo kah de hai diwana wo kar ke bhi dikha de hai ghazab ki fitna-sazi aae hai us aafat-e-jaan ko shararat khud kare hai aur hamein tohmat laga de hai meri barbaadiyon ka dal kar ilzam duniya par wo zalim apne munh par hath rakh kar muskura de hai ab insanon ki basti ka ye aalam hai ki mat puchho lage hai aag ek ghar mein to ham-saya hawa de hai kaleja tham kar sunte hain lekin sun hi lete hain mere yaron ko mere gham ki talkhi bhi maza de hai