bulati hai magar jaane ka nain wo duniya hai udhar jaane ka nain zamin rakhna pade sar par to rakkho chalo ho to thahar jaane ka nain hai duniya chhodna manzur lekin watan ko chhod kar jaane ka nain janaze hi janaze hain sadak par abhi mahaul mar jaane ka nain sitare noch kar le jaunga main khali hath ghar jaane ka nain mere bete kisi se ishq kar magar had se guzar jaane ka nain wo gardan napta hai nap le magar zalim se dar jaane ka nain sadak par arthiyan hi arthiyan hain abhi mahaul mar jaane ka nain waba phaili hui hai har taraf abhi mahaul mar jaane ka nain