bulbul ke naghme KHushbu ke charche hawa hue

bulbul ke naghme khushbu ke charche hawa hue
mausam badal gaya hai wo jab se juda hue

milte nahin hain phulon mein ab titliyon ke rang
bachpan mein jaane soch ke kya hum fida hue

tum ko kaman khinchna aaya na aaj tak
tarkash mein jitne tir the sare khata hue

hum ko to ek ek qasam apni yaad hai
gin ke batao wade jo tum se wafa hue

waqt-e-dua hai mango dua karwan ki khair
waqif nahin jo rah se wo rahnuma hue

khush aaega na tum ko sanam pujna kabhi
patthar tumhaare shahr ke sare khuda hue

manzil ke jab nishan nazar aane lage 'jamal'
har har qadam pe shukr ke sajde ada hue


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close