bure logon ki ruhen yun farishta khinch leta hai

bure logon ki ruhen yun farishta khinch leta hai
ki jaise koi kanton par se kapda khinch leta hai

usi hamdard par lagti hai aksar qatl ki tohmat
ki jo maqtul ke sine se neza khinch leta hai

jise school ki halki kitaben bojh lagti thin
wo ab majbur ho kar bhaari rickshaw khinch leta hai

main jab bhi koshishen karta hun unchai pe chadhne ki
mera apna hi koi pair mera khinch leta hai

fan-e-ashaar bhi ek tarah ki photography hai
sukhanwar sher mein har gham ka naqsha khinch leta hai

mujhe didar se bhi badh ke aata hai maza is mein
wo mare sharm ke jab rukh pe parda khinch leta hai

'nabil' is shaeri ke shauq ko aasan mat samjho
ragon se ye lahu ka qatra-qatra khinch leta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close