buton ko kibriyai kyun na aai khuda ho kar khudai kyun na aai mizaj-e-yar rangin tha mere kaam meri rangin-nawai kyun na aai wafa bhi dilrubai ka hai andaz tumhein ye dilrubai kyun na aai jo tum ne sikh li ghair-ashnai mujhe dushman ki aai kyun na aai wafadari zara tum kyun na sikhe hamein kuchh bewafai kyun na aai mujhe baad-e-saba se ye gila hai barae dil-kushai kyun na aai hamari dastan-e-dard sun kar unhen riqqat na aai kyun na aai shab-e-gham ki na surat dekhti main ajal roz-e-judai kyun na aai