chaak sine ka ba-andaz-e-jigar ho ki na ho

chaak sine ka ba-andaz-e-jigar ho ki na ho
aur phir lazzat-e-jaan zauq-e-asar ho ki na ho

tujh se ai shama sar-e-sham hi rukhsat ho lun
shab basar ho ki na ho waqt-e-sahar ho ki na ho

umr-e-nazzara usi jalwe pe qurban kar dun
phir kabhi aur mujhe tab-e-nazar ho ki na ho

ab jahan wo hain mera hosh wahin hai ai dil
be-khabar main hun unhen is ki khabar ho ki na ho

apne mahshar ki sahar bhej hi de ab yarab
yani tanha hai meri raat basar ho ki na ho

is qadar puchh to lo ru-e-sahar se 'kaifi'
us pe rang-e-asar-e-dida-e-tar ho ki na ho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close