chahat mein kya duniya-dari ishq mein kaisi majburi logon ka kya samjhane do un ki apni majburi main ne dil ki baat rakhi aur tu ne duniya walon ki meri arz bhi majburi thi un ka hukm bhi majburi rok sako to pahli barish ki bundon ko tum roko kachchi mitti to mahkegi hai mitti ki majburi zat-kade mein pahron baaten aur milin to mohr ba-lab jabr-e-waqt ne bakhshi hum ko ab ke kaisi majburi jab tak hansta gata mausam apna hai sab apne hain waqt pade to yaad aa jati hai masnui majburi ek aawara baadal se kyun main ne saya manga tha meri bhi ye nadani thi us ki bhi thi majburi muddat guzri ek wade par aaj bhi qaem hain 'mohsin' hum ne sari umr nibahi apni pahli majburi
This is a great meri majburi shayari. True lovers of rakhi shayari fb will love this. Please share if you liked this!!!