chaho to mera dukh mera aazar na samjho

chaho to mera dukh mera aazar na samjho
lekin mere khwabon ko gunahgar na samjho

aasan nahin insaf ki zanjir hilana
duniya ko jahangir ka darbar na samjho

aangan ke sukun ki koi qimat nahin hoti
kahte ho jise ghar use bazar na samjho

ujde hue taqon pe jami gard ki tah mein
ru-posh hain kis qism ke asrar na samjho

ehsas ke sau zakhm bacha sakte ho 'akhtar'
izhaar-e-murawwat ko agar pyar na samjho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close