chahte hain ghar buton ke dil mein hum

chahte hain ghar buton ke dil mein hum
hain junun ki aakhiri manzil mein hum

git gate hain qafas manzil mein hum
koste jate hain lekin dil mein hum

ye to mat mahsus hone dijiye
ajnabi hain aap ki mahfil mein hum

mai-kade ke chor-darwaze bhi hain
aa to jaen shaikh ki manzil mein hum

khud-farebon ko payam-e-agahi
mubtala hain sai-e-la-hasil mein hum

dur se aata hai mubham sa jawab
den use aawaz jis manzil mein hum

rok len palkon pe aansu ki tarah
kya samo den mauj ko sahil mein hum

sochiye aakhir wo kya haalat hain
ja rahe hain kucha-e-qatil mein hum

ji na maila kijiye fariyaad par
hain pasheman aap-apne dil mein hum

hum ghalat rujhan rakhte the ki aap
aap se puchhenge mustaqbil mein hum

na-shanasan-e-adab ke hath se
'shad'-sahib hain badi mushkil mein hum


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close