chal pare hat mujhe na dikhla munh ai shab-e-hijr tera kala munh aarzu-e-nazzara thi tu ne itni hi baat par chhupaya munh dushmanon se bigad gai to bhi dekhte hi mujhe banaya munh baat puri bhi munh se nikli nahin aap ne galiyon pe khola munh ho gaya raaz-e-ishq be-parda us ne parde se jo nikala munh shab-e-gham ka bayan kya kijiye hai badi baat aur chhota munh jab kaha yar se dikha surat hans ke bola ki dekho apna munh kis ko khun-e-jigar pilaega saghar-e-mai ko kyun lagaya munh phir gai aankh misl-e-qibla-numa jis taraf us sanam ne phera munh ghar mein baithe the kuchh udas se wo bole bas dekhte hi mera munh hum bhi ghamgin se hain aaj kahin subh utthe the dekh tera munh sang-e-aswad nahin hai chashm-e-butan bosa 'momin' talab kare kya munh