chale gae ho sukun-o-qarar-e-jaan le kar hum apne dard ko jaen kahan kahan le kar bahut dinon mein mila hai payam-e-mausam-e-gul nasim-e-subh chali hai kashan kashan le kar ab apne apne muqaddar pe baat thahri hai utha hai abr-e-guhar-bar bijliyan le kar yahan na main hun na tu hai na koi shahnai pahunch gai hai teri aarzu kahan le kar nae hain jism ke taron pe ruh ke naghme uthe hain bazm se ek kaif-e-jawedan le kar gham-e-hayat ne fursat na di sunane ki chale the hum bhi mohabbat ki dastan le kar