chale to rah mein chubhne lage the sannaTe

chale to rah mein chubhne lage the sannate
ruke to shor sa andar sunai deta hai

ye kis ne rakh di hai daftar mein ghar ki khamoshi
jo ghar mein aaen to daftar sunai deta hai

alag sa shor jo apne hi ghar mein sunte ho
nikal ke dekho to ghar ghar sunai deta hai

mujhe wo kyun meri tanhaiyon mein milta hai
wo kaun hai mujhe aksar sunai deta hai

wo hiddaten tere lahje ki kya huin aakhir
tere labon se december sunai deta hai

tamam shahr samaat ka jabr sahta hai
ye kaisa shor barabar sunai deta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close