chalegi na ai dil koi ghat hargiz nahin un se hogi mulaqat hargiz bahut koshish-e-zabt ki hum ne lekin thaharte nahin dil mein jazbaat hargiz tu buqraat-e-dauran hai naseh magar hum sunenge na tere maqalat hargiz jo jaan-baziyon ki chale chaal us ko bisat-e-wafa par na ho mat hargiz umidon ke jugnu chamakte hain lekin na thahrenge dam bhar ye lamat hargiz hai kya zist kya hasil-e-zindagi hai nahin hote hal pe sawalat hargiz wo chamka karen lakh par ho sakenge muqabil na suraj ke zarraat hargiz hamara hai haqq-e-wafa den na den par na mangenge hum un se khairaat hargiz tan-asano ulfat se baz aao tum se uthenge na gham ke suubaat hargiz nakirain aae hain kuchh kah ke talo talenge na warna ye hazraat hargiz ghalat baat hai par ye lagta hai jaise kategi na ab hijr ki raat hargiz na ghabrao tum aarzi hain ye aansu musalsal na hogi ye barsat hargiz ziyan bhi uthae hain par hum ne yaro nahin dil mein rakkhi koi baat hargiz wo guzri hai hum par jo majnun pe guzri badalte nahin gham ke haalat hargiz dil-e-'kaif' hai ek rabab-e-shikasta uthenge na ab is se naghmat hargiz