charagh bujh bhi chuka raushni nahin jati wo sath sath hai aur bekali nahin jati shabab-e-rafta phir aata nahin jawani par ye wo makan hai ki jis ko gali nahin jati ajib dar-badari mein guzar rahi hai hayat ki apne ghar mein bhi ab be-ghari nahin jati chaman ko chaaron taraf gher kar nahin rakhna saba gulon ki taraf kab chhupi nahin jati chalo usi se karen baat chaaragar to hai wo jis se baat kisi ki suni nahin jati mata-e-dard numu ke safar mein hai shamil kali bahaar mein waise jali nahin jati fishaar-e-waqt mein nok-e-qalam hui larzan lahu ke shor mein dil ki kahi nahin jati tamam shahr raunat ki gard mein malfuf aur ek hum hain ki waraftagi nahin jati