charagh-e-shauq jala raat ke asar se nikal safar na rok tilismat-e-rahguzar se nikal kabhi to dast-e-hinai se likh visal ki rut kabhi to shisha-e-jaan tutne ke dar se nikal jawaz dhund na apni sada bikharne ka hayat mohr-ba-lab dast-e-chaara-gar se nikal zara si wusat-e-idrak mein na gum ho ja is imtihan se guzar hairat-e-khabar se nikal tere khayal mein hun shahr-e-raftagan tu bhi kisi khandar se ubhar aks-e-baam-o-dar se nikal zakat-e-khwab mein de di hain main ne aankhen bhi ab ai jahan-e-digar hita-e-nazar se nikal nigah-e-zard mein ug sabz khwab ki konpal gulab-e-shakh phir ujde hue shajar se nikal bandhe hain sham sutunon se subh ke tare jamal-e-yar kisi naqsh-e-motabar se nikal fasil-e-shahr pe aks-e-shab-e-tassuf hai najat-e-gham ki kiran khema-e-sahar se nikal