charagh hun kab se jal raha hun mujhe duaon mein yaad rakhiye jo bujh gaya to sahar-numa hun mujhe duaon mein yaad rakhiye wo baat jo aap kah na pae meri ghazal mein bayan hui hai main aap ka harf-e-muddaa hun mujhe duaon mein yaad rakhiye ghubar hun aap chahe ghaza banaen ya zer-e-pa bichha len main kab se raqsan hun thak chuka hun mujhe duaon mein yaad rakhiye bahut hi shaistagi se har lamha dubti ek sada ki surat main khalwat-e-jaan mein bujh raha hun mujhe duaon mein yaad rakhiye bala se ye rah-e-shauq meri na ho saki par tumhaari khatir misal-e-naqsh-e-qadam bichha hun mujhe duaon mein yaad rakhiye