chhati jala kare hai soz-e-darun bala hai ek aag si rahe hai kya jaaniye ki kya hai main aur tu hain donon majbur-e-taur apne pesha tera jafa hai shewa mera wafa hai ru-e-sukhan hai kidhar ahl-e-jahan ka ya rab sab muttafiq hain is par har ek ka khuda hai kuchh be-sabab nahin hai khatir meri pareshan dil ka alam juda hai gham jaan ka juda hai husn un bhi moinon ka tha aap hi suraton mein is martabe se aage koi chale to kya hai shadi se gham-e-jahan mein wo chand hum ne paya hai id ek din to das roz yan daha hai hai khasam-jaan-e-ashiq wo mahw-e-naz lekin har lamha be-adai ye bhi to ek ada hai ho jae yas jis mein so aashiqi hai warna har ranj ko shifa hai har dard ko dawa hai nayab us guhar ki kya hai talash aasan ji dubta hai us ka jo tah se aashna hai mushfiq malaz o qibla kaba khuda payambar jis khat mein shauq se main kya kya use likha hai tasir-e-ishq dekho wo nama wan pahunch kar jun kaghaz-e-hawai har su uda phira hai hai garche tifl-e-maktab wo shokh abhi to lekin jis se mila hai us ka ustad ho mila hai phirte ho 'mir' sahab sab se jude jude tum shayad kahin tumhaara dil in dinon laga hai