chhin gai teri tamanna bhi tamannai se

chhin gai teri tamanna bhi tamannai se
dil bahalte hain kahin hausla-afzai se

kaisa raushan tha tera nind mein duba chehra
jaise ubhra ho kisi khwab ki gahrai se

wahi aashufta-mizaji wahi khushiyan wahi gham
ishq ka kaam liya hum ne shanasai se

na kabhi aankh bhar aai na tera nam liya
bach ke chalte rahe har kucha-e-ruswai se

hijr ke dam se salamat hai tere wasl ki aas
tar-o-taza hai khushi gham ki tawanai se

khil ke murjha bhi gae fasl-e-mulaqat ke phul
hum hi farigh na hue mausam-e-tanhai se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close