chhup ke milne aa jae raushni ki jurat kya ruh ke andhere mein chand ki zarurat kya tu meri mohabbat ke qatl mein mulawwis hai aur mujhi se kahta hai khun ki shahadat kya kaun meri aankhon ke band tod deta hai dil ke qaid-khane mein qaid hai qayamat kya ek dusre ko hum bhul jaenge ek din itni be-qarari kyun is qadar bhi ujlat kya raat se bichhadne ke khwab dekh rakkhe hain subh raste mein hai khwab ki hifazat kya ek waqt aata hai munsifi nahin milti jhut ki wakalat kya khauf ki adalat kya zulm sahne walon ka sabr khatm hota hai sirf ek dhamki hai phailti hai dahshat kya