chur sadmon se ho baid nahin aabgina hai dil hadid nahin mai-kashi kya kare bhala zahid maghfirat ki use umid nahin chaar-su hai andhera aankhon mein chaar din se jo us ki did nahin mere aage mili wo ghairon se hai moharram mujhe ye id nahin qatl aalam hai tere abru par koi talwar se shahid nahin apne dil se mujhe iradat hai main kisi pir ka murid nahin dil kisi se lage to kya chhute koi is qufl ki kalid nahin dekh le mar ke sakhti-e-sakraat sadma-e-hijr se shadid nahin wasl-e-jaanan hai segha-e-tohmat ki mujarrad hain hum mazid nahin ishq kya dard hai khudawanda koi daru-dawa mufid nahin nahno-aqrab dalil hai ai 'bahr' yar nazdik hai baid nahin