dahan hai tang shakar aur shakar tera hai kalam laban hain pista zanakh seb o chashm hain baadam teri nigah se gae khul kiwad chhati ke hisar-e-qalb ki goya thi fath tere nam dilon ki rah mein khatre pade hain kya yaro ki chand roz se mauquf hai payam o salam umid-war janab-e-khuda se hai 'hatim' ki howe kaam ka us ke shitab se anjam