daim sarab ek mere andar hai kya karun sahra meri nazar mein samundar hai kya karun dekhe jo meri neki ko shak ki nigah se wo aadmi bhi to mere andar hai kya karun yak-guna be-khudi ko hi ab dhundhta hai dil gham aur khushi ka bojh barabar hai kya karun achchha to hai ki sab se milun ek hi tarah lekin wo aur logon se behtar hai kya karun milte hain yun to log ba-zahir bahut gale har aastin mein koi khanjar hai kya karun