dam-e-akhir musibat kat do bahr-e-khuda meri tum aa kar dard ke parde mein kar jao dawa meri mohabbat but-kade mein chal ke us ka faisla kar de khuda mera khuda hai ya ye murat hai khuda meri yahan se jab gai thi tab asar par khar khae thi wahan se phul barsati hui palti dua meri tu hi kah de ye jism-e-zar mera hai ki tera hai tu hi kah de ye ruh-e-na-tawan teri hai ya meri pada hai tafraqa jis din se kya kya yaad karti hai udhar mujh ko jafa teri idhar tujh ko wafa meri muqayyad ho ke lutf-e-hasti-e-azad bhi khoya wo kya thi ibtida meri ye kya hai intiha meri wahan jab the to jism-e-na-tawan mein ruh phunki thi yahan jis din se aae aap ban baithe qaza meri miyan-e-hashr ye kafir bade itrae phirte hain maza aa jae aise mein agar sun le khuda meri kisi ka jalwa-e-rangin ye kahta hai inhen pujo ye us patthar ke but hain jis pe pisti thi hina meri na-jaane kaun se yusuf ka jalwa mujh mein pinhan hai zulekha aaj tak karti hai 'muztar' iltija meri