dam-e-barq-o-baad hota nafas-e-sharar hota

dam-e-barq-o-baad hota nafas-e-sharar hota
kisi rang se to jina mujhe sazgar hota

mujhe us ki be-rukhi ka bhi jo e'tibar hota
main dua ko hath utha kar na gunahgar hota

na bala se ashk thamte na dua qubul hoti
main khulus-e-bandgi se to na sharmsar hota

wo naqab uth bhi jata to nazar kahan se late
tere ru-ba-ru bhi tera wahi intizar hota

gham-e-dostan ghanimat hai watan se dur warna
mere dil pe kya guzarti jo mera dayar hota

mujhe 'shor' de rahe hain wo fareb-e-tez-gami
ki jo do qadam bhi chalte to na e'tibar hota


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close