daman-e-husn mein har ashk-e-tamanna rakh do din ki rah mein hangama-e-duniya rakh do zulm ke samne ikhlas ka parda rakh do nok-e-har-khar pe barg-e-gul-e-rana rakh do apni tarikh ke auraq ulatna hain agar gulshan-e-aish pe tapta hua sahra rakh do jis se wabasta rahe dubne wale ki umid ek tinka hi sahi tum lab-e-dariya rakh do tum jo chaho ki mere lab bhi na khulne paen mere aage meri taqdir ka chehra rakh do roz-e-raushan ki tarah hongi munawwar raaten chand shoale jo sar-e-bazm-e-tamanna rakh do ek aawaz si aati hai haram se shayad mai-kade walo zara saghar-o-mina rakh do