danish-o-fahm ka jo bojh sambhaale nikle

danish-o-fahm ka jo bojh sambhaale nikle
un ke azhan pe afkar pe jale nikle

main ye samjha ki koi narm zamin aa pahunchi
ghaur se dekha to wo panw ke chhaale nikle

zakhm kha kar ye thi khush-fahmi ki mar jaenge
dosto hum to bade hausle wale nikle

dil tatola shab-e-tanhai to mahsus hua
hum bhi ai dost tere chahne wale nikle

aaj ke daur ke suqraat pe kya hoga asar
apni hi zat mein jo zahr ke pyale nikle

phan ko phailae jo ye aaj khade hain 'jawed'
aastin ke ye meri apne hi pale nikle


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close