dar-o-diwar ka badla hua huliya likhen

dar-o-diwar ka badla hua huliya likhen
is haweli ka koi dusra naqsha likhen

na kanizon ka wo jhurmut na bahi-khwahon ka
dil ki manind mahal ko bhi akela likkhen

par jo hum ne kiya aag ka dariya wo tha
zindagi ab tujhe bita hua lamha likkhen

tishnagi tishna-labi apna muqaddar hai to
ab samundar jo likha jae to pyasa likkhen

kitne hisson mein hamein bant rahi hai duniya
aur taqaza hai hamin se use achchha likkhen

hum ne jab dekha to taswir ka har rukh dekha
aaina ban ke likhen ab jo sarapa likkhen

bol anmol hain ye baat sada yaad rahe
aap jo 'sima' likhen ab wo nirala likkhen


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close